Saturday, August 24, 2013

Life of developer



Bada craze tha IT ka
Bahar se sab dude dikha karte the
andar kya raaz tha
Ise batane se najane kyun darte the!

Developer ko dekh dekh ke
Hum bhI socha karte the
Ek din aisa program banaege
Ki log humse sikhenge!

Ye to bas bahari dikhava tha
Baat to kuch aur hi thi
Ek hell ka darwaza tha
Jiski welcome sunheri thi..
Ache khase career p
Dav laga dala tha
IT ke daldal main
Khudko kuch yun hi phansa dala tha!

Pahunche office phle din
Soch ke kitne sapno ke sath
Milwaya gaya sabse pyaar se
Jaise kar rahe the hume kisi jung ke liye taiyaar
Purane employees ne kuch is tarah  hume dekha
Jaise unhe mil gya tha naya bakra karne ko halaal anokha

Ek saal to aish se beeta
Sabne bacho ki tarah pala
Jaise hi promotion hua
Hawa ne apna rukh badal dala..

Ab to der raat tak baith ke bhi
Kaam pura na ho paye
Chahe kitna kaam karo
Boss khush na reh paye..

On time delivery aur quality ka zor hai
But peeche to chamchagiri haI jisne
Udaye ache acho ke hosh hai..

Ek baar jo soch lia boss ne vo hi karna hai
Phir chahe bechara developer kat jaye iski parvah use kya hai

Productivity badhao aur dusro ki help karo
Phir khud ka kaam time p na ho paye
To ispe bh khud hi suffer karo. .

Abhi to shuruaat hai
Tum lambi race k ghode ho
Kuch lubhawani baatein hai boss k
Jo turk k patte k nishani hai
Jab promotion dene ka mood na ho unka
Tab y jubaan p ati hai
Bolenge kya hua promotion nahi hua is baar to
Lekin rating ki sabse achi tumhri h kahani hai

Kaam karo tum phal k chinta kyu karte ho
Agle cycle mai pakka promotion hoga with increment is baat se kyun h darte ho

Boss to bas bolke
Side khisak leta hai
Jo heart attack developer ko hai ata
Isse uska kya hI jaata hai
Aaj ek jaega to kal koi dusra bakra aaega
Is daldal main bahut haI phanse
Koi na koi aur pakda jaega

Expectations aur deliverables ne acha khel dikhaya haI
IT life sucks ye har developer n kabhi na kabhi dohraya hai..

Thursday, August 1, 2013

Yun hi

Kuch khawab hakeekat main kyu nahi pure hote
Kyun sapno ki dahleez pe aake laut haI jaate
Kyun simat jati hai khwabi ki chadar
Aakhir kyun chand taaro ki lagti jhuthi hai aazmaish!

Kehne ko log kehte hai waqt ka takaza hai
Hakeekat hume bhi hai pata ye insaan ka khud ka banaya hua mann ka khauf hai..!

Yun hI sab baatein jhuth nahi ho jatI
Saari uljhanein pareshani ban nahi jati
Ane wali khushiya kho nahi jati
Aur chal rahi saansein tham nahi jati!

Yun hi kalam chal nahi jate
Saare sapne chaknachoor ho nahi jate
Kuch to baat hoti hai
Jo aap aur main samjhte nahi
Bas chal dete hai raaho pe
Aur ise mazboori ka naam dekar zindagi mud hai jati..!!

Thokar jab lagti hai tab tak der ho hai jati
Shayad y hi mukaddar hai
Aur isse jude hum sab hai
Yeh bhi jaruri hai ek jeevan k tarah
NahI to likhe har labz ki koI kahani na ho patI
Vo bh bas beh jata pani ki tarah
Jiski koI ravani na ho pati...

Mausam


Mujhe kabhi fizaun s itna pyaar na tha
Badalte mausam ka yun khumar na tha
Par yaha ka mausam kuch alag sa hai
November ki bheeni bheeni thand sa hai
Raat ko halki ped p padti oas k bund sa hai
February main halki dhoop main bh ek meethe ehsaas sa hai
Garam garam pakode chai hAr roz mann ko bhaye kuch aisa sa hai
Raat ko dosto k mehfil saja de
Do premiyo ko ghumne k 100 bahane de
Halki phuaro main mann khush ho jae
Bheegne ka bh mann kare
Aur halki boondo s roz guftugu karaye
Kuch aisa sa hai y mausam
Har pal dil ko chu jae
Bas kuch aisa sa hai y jo rehta h palchin

Ek akele insaan ka sathi sa hai
Rahon main chalte logo k chehre p bharta ek khushi sa hai
Badalo s naye khel bna jata h
Kbhi chaand chupata hai
Kabhi khud chup jata haI
San san hawayein iski saathi hai
Jo badan p chute h sihran pahuncha de
Kuch aise se hai

Par phir bh is mausam ka hum luft utha rahe h
Na jane kab tak sath milega iska hum to bas yun hi jiye ja rahe hai..