Raftar ghum si gayi h zinadagi ki
Badi dheere chal rahi hai
Kahan bhaghti th pal chin
Aaj yun h so rahi hai
Sukun sa hai maa ki god main
Aahat ab dard k kam hai
Bade meethe s swar h ghule aasman main
Shabdo ka khel ek darpan hai
Thak gaya tha insaan bhaghte bhaghte
Maa k aanchal n sahara diya hai
Mushkil jeetna kuch bh nahi
Bas y h dohraya hai
Par is udhedbun main
Zindagi tune kya paya hai
Khoya hua bachpan aur tyaag
Ya teri koi aur maya hai
Kyun daudte hue tu ruk gya h
Thak gya h ya besahara ho gya h
Lad rha h ya soch raha h
Kya h aisa jise thukra raha hai
Sochti hu to lagta hai abhi aasman mai ud jaega
Par is bar shyad y udne s phle
Kafi waqt lagaega
Apne ko badal ke
Na jane kaunse mod p jaega
Sab kuch bhula k na jane aaj kaunsa naya mokam rachaega
Y jeevan kuch to naya sikhayega
Kuch to naya sikhaega..