Ek nazar dekho zara uthake
hare rang k mayne pata chal jaenge
boondein kis tarah dikhti hai
Labzon se pare ehsaas ho jaenge..
Sannate main meethi se khamoshi ki pehchan
yaha k mausam ne hi sikhai hogi
na koi shor hai na koi aahat
bas sukoon hai har kadam p kuch alag hai ye rahat..
Main yaha k logo k vahan chalane k tarike s chakit hu
na kabhi niyam todte dekha na kbhi unhe bhonpu k upyog karte suna
paidal chalte yatriyo ko rasta dena unka dharam sa hai
har kisi vahan chalak se maine y hi sikha h..
Kuch alag hi mahool hai yaha ka
apne main gum s hai duniya
aavishkar ka upyog hai durupyog
keh nahi paate
paas baitha bh khamosh hai
aur sab apne main gum hai
ek mausam ka hi jadoo hai
jo chehre kuch prasaan hai
bharat s door bharat main hu
aisa lagta hai
lekin ek aisa hissa
jaha shakhahari kam aur maasahari jyada milata hai
shikayat nahi hai y bh ek sikh hai
har waqt har paristhithi main jeene ka alag h sandesh hai
bhanti bhanti k log hai
koi amma kehne wal
to koi vannakam kehne wala dost hai
koi offo keh keh k din poora karta hai
aur koi usi k offo se pareshan rehta hai
yaha to kisi k har baat gadar hai
koi gym main hi pade rehne pasand karta hai
kuch aalsi se jeev hai
kuch ko khane main kuch nahi bhata
to koi mcdi s pyaar karte hai
ya yu kahe logo k liye mcdi home away from home hai..
'Chomu' kehne ka chalan alag hi yaha chala hai
khushi ya gum p jaam chalkhane ka alag h sabab ho chala hai
muft k jagaho p jane k liye logo s puchte rehte h
itni mehangai hai k ghar s bas ab kiska saaman aa raha h
ispe nazar rakhte h..
aaye the singapore mba karne
shayad khud ko hi MANAGE karte reh jaenge
waqt kaise beet raha hai
hum bh samjh nahi paenge
aane wala waqt kya rang dikhaega
y kisko pata
par y to zarur hai y mann manchala hai
aur apni dagar p h ho chala
kuch khati meethi yaado k sath
y waqt bh beet jaega
zindagi ek pal main kaha s kaha le jati hai
y bh ek nasha hai..
dekhte hai ab is hariyali main aur kya gul khilte hai
kuch samay aur baki hai
chaliye ab aur thoda Singaporean banke jee lete hai!!
No comments:
Post a Comment