Wednesday, November 5, 2014

Kya itna pyaar bhi kam hai


kuch din bh kam hai
kuch baatein bh bhram hai
aati hui baharein bh gum hai
jaate hue pal bh nam hai

kya itna pyaar bh kam hai..

main ulajh rahi hun apni hi raaho main
dhundti hu palchin use khudki aahon main
na jaane kyu aata hai phir door ho jata hai
kya chahta hai aur kya de jata hai

kyu lad rahi hai takdirein kuch is tarah se
kyu so rahe hai raatein kuch kahe bina hi
kyu maayusi si hai cha rahi is dil main
kyu kho rahi hai muskhurahatein in chehro se

itna pyaar hai dil main jo simat raha hai
mera pyaar kyun khudse door ho raha hai
kya itna pyaar bh kam hai jo nazar aate hue bh kho raha hai

kya kisi ki chahat uske ijhar p bayaan hoti hai
kya pyaar sacha hai ise saabit karna jaruri hai
chahe achi ho baatein phir bh chubh jaati hai
mann kehna kuch chahta hai
par jubaan yun fisal jaati hai

saari baatein tum keh nahi sakte
kuch dil main rehti hai to kuch dafhan ho jati hai
kabra un yaadon ka hum yun hi bana lete hai
jaate hai door phir khudko samjha le jati hai

shayad unhe humara paas aana har baar nahi bhata
hum main kya kami hai k pyaar kabhi poora ho nahi pata
pyaar bahut hai samjha nahi sakte
mehsoos tum kar lo hum mehsoos kara nahi sakte
kho sakte hai toot sakte hai tumhri baaho main
kaho to bikhar bh jaenge tumhri raaho main

keh k dekho k y nahi acha lagta
hum badal denge har baat jo kar raha hai rishte ko kacha
mar jaenge y tumse hum kehna nahi chahte
bas aakhiri baar gale laga lena jaate jaate

shayad itna pyaar bh kam hai ab is duniya main
kuch to ulfat hai is pyaar ki deewanagi main
Kya itna pyaar bh kam hai ab humare liye....

No comments:

Post a Comment