Tuesday, August 18, 2009

"Kitne badal gaya hamara DESH"

Rangeen chadar ode tha bachpan beeta jahan,
hariyali ki oat main khilti th jaha muskan,
jahan har taraf bas pyar ki baatein th,
aakhir vo sab ab hai kahan?????

Suna tha dadi se angrezon ke khilaf hum ek hokar lade th,
gulami nahi sahi th,
muh tod jawab diye th.....
par ab kya hua hamare desh ko??
jo ab hum sab ye bhul chuke hai...

Ab bas yahan khun ka pyassa har rishta h,
pyar se badhkar ab paisa hai..

Bhrashtachar ki neev kisne rakhi h..
jisne khokli kar di iske har eent hai...

Aazadi ki 63 saal baad bh,
hum Hindu Muslim main bhed bhav karte hai,
kehte h hum aage badh chuke hai.
phir kyun 1947 k batware ko dobara yaad karte hai..?????????

Paise ne saare desh main aisa tandav khela hai
Ameer garib ko apni juti ki nauk tak nahi samjhta hai,
kyun aakhir ek bharatwasi hi dusre ka dushman ban gaya hai?
agar y hai desh ka haal to kya hamara desh aise VIKSIT ho chuka hai..?????!!

Naujawan ka josh is badti mehngai main dab chuka hai,
jo bache hue kuch imandar unhe hamare sarkar ne nikal fainkha hai..

Chalo aaj pran lete hai badle BHARAT ka naya swaroop banayenge
bhrasht aur jaatiwaad ko dur kar...
imandari aur pyaar ki fasal ugaenge....!!

3 comments:

  1. really nice poem yaar... very true, touching.
    after reading ur poem, i really realised wat has our nation become

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. Suggestions r always necessary for a writer..

    ReplyDelete